Wednesday, October 2, 2013

Dream comes true !

Me Kya karna chata hu , na mujhe pata he na tujhe pata he !
kyu me sirf aapne liye jina chata hu , iski kya ek wajah he !!

Mala me piroye hue aramano se , aaj me sajana chata hu !
dil me chupe hue khwab ko , aaj me hakikat banata chata hu !!

manzil panne ka junoon aaj mere sir chad raha he dheere dheere !
akash ki uchaiyo ko aaj me paar karna chata hu !!

jee rahe he aapne jazbato ki ek gudiya banate hue !
aaj in khilono se me bahut khelna chata hu !!

dard ke lamho ko man me rakhne ki sakti nahi he mere me !
aaj har dard ke lamho ko aanshu ki ek bund me bhar dena chata hu !!

ek ek pai bacha kar ashiyana banane ki sochee he mene!
aaj aapne basare ko ghar banana chata hu me !!

maa baap ki ungli pakad kar khade hone sikha tha mene !
aaj unki ungli pakad sahara banana chata hu !!

gadiyo me to bahu ghum liye papa ke paise se  !
aaj aapne paiso se unko hawai sehar karna chata hu me !!

bahwan ki aradna roz karta hu ki sab aache rahe  !!
aache logo ki dua ko kabul karne lie me dua karna chata hu !!

kuch karna chata hu , kuch banana chata hu !
puri duniya me aapne maa baap or aapna naam roshan karna chata hu me !!

 Love.....
Nitin Bali 











**The Weight of Shadows**

I just got fed up with life, you see,   A hollow echo where my heart should be.   No motivation whispers near or far,   Just silence, cold, ...